Wednesday 15 January 2014

Mujhe Manzoor !

Mein yeh samajhti thi,
Meri yeh hak hain tum par,
Ke waqt bewaqt..
Mein tumhe, ji bharke
Pareshaan kar saku..
Mujhe yeh maloom na tha,
Waqt ke sath,
Bewaqt bhi badal sa gaya hain..
Aaj bade dino baad,
Mujhe hosh si aayi..
Ankh khuli to sab kuch
Badla sa paya..
Chalo yeh bhi sahi..
Yeh bhi manzoor..
Tumhare diye hue kafn ko orr..
Mein nikal aayi..
Tumse bahut dur..
Jaha meri awaz ki goonj
Tum tak na pohoch paye..
Na hi meri saya tumhare
Raha pe andhera bicha paye..
Jao ji lo tum..
Haan, yeh bhi mujhe manzoor !

~Manjuri~

No comments:

Post a Comment